chhaaya meri ummid ki duniya me andhera
ab ye kise maalum hai kab hoga savera
chhaaya meri ummid ki duniya me andhera
ab ye kise maalum hai kab hoga savera
kho jaaye na mil kar kahi ulfat ka khazana
kahi ulfat ka khazana
kho jaaye na mil kar kahi ulfat ka khazana
rah jaaye na lut kar kahi armaano kaa dera
ab ye kise maalum hai kab hoga savera
khilne bhi na paayi abhi kaliya mere dil ki
abhi kaliya mere dil ki
khilne bhi na paayi abhi kaliya mere dil ki
dil tod ke gam ne kiya pehlu me basera
ab ye kise maalum hai kab hoga savera
sunta nahi koyi kise main ja ke sunaau
kise main ja ke sunaau
sunta nahi koyi kise main ja ke sunaau
dukh-dard me duba hua afsana hai mera
ab ye kise maalum hai kab hoga savera
chhaaya meri ummid ki duniya me andhera
ab ye kise maalum hai kab hoga savera