Tere Karam Ki Dhoom Jaha Me Kaha Nahi Lyrics | Char Dervesh

                        
                        aaari duniya tere jalwe ki tamnnai hain 
jaise jannt tere kuche me utar aai hain 
tere karam ki dhum jaha me kaha nahi 
ho jaha me kaha nahi
tere nisar tujhsa koi meharba nahi 
ho koi meharba nahi, tere karam ki dhum 

kismat ki uljhano se, ab ukta gaya hu main
is zindagi ke bojh se, ghabra gaya hu main 
ye sochkar hi dar pe, tere aa gaya hu main
data aa gaya hu main, murshad aa gaya hu main
ki tujhse chhipi hui, to meri dasta nahi 
ho meri dasta nahi, tere karam ki dhum 

aa aa aa aa 
halchal si ho rahi hain, mere dil ke aas paas 
shayad ke aa gaya hu main, manjil ke aas paas 
pyasa khada hua hu main, sahil ke aas paas 
sahil ke aas paas, data sahil ke aas paas 
aa aa aa 
ab tere mere hujur koi intha nahi 
ho koi intha nahi 
tere karam ki dhum jaha me kaha nahi 
ho jaha me kaha nahi
tere nisar tujhsa koi meharba nahi 
ho koi meharba nahi, tere karam ki dhum

tu hain ek shama to lakho hain parwane 
tere kurban tere naam ke diwane hain 
jalve aankho me to lab par tere afsane hain
bhulkar hasti ko apni tujhe pahchane hain 
apani rdaad sunane ke liye aaya hu
bigdi takdeer banane ke liye aaya hu 
tishnagi dil ki bujhane ke liye aaya hu
dil ka har jakhm dikhane ke liye aaya hu 
dil ko tasdid nahi, ruh ko aaram nahi 
mussa is duniya me, shayad koi nakam nahi 
ye to bigdi hui takdeer bana de meri 
ya kahde teri duniya me mera kaam nahi 
aa aa aa 
pyasa khada hua hu main sahil ke aas paas 
sahil ke aas paas, ho sahil ke aas paas 
ab tere mere hujur koi intha nahi 
ho koi intha nahi 
tere karam ki dhum jaha me kaha nahi 
ho jaha me kaha nahi
tere nisar tujhsa koi meharba nahi 
ho koi meharba nahi, tere karam ki dhum