Welcome Entertainment Lover’s

Sharamaa Ke Ye Kyu Sab Pardaanashin Lyrics | Chaudhvin Ka Chand

                        sharma ke ye kyun sab pardanashi, sharma ke ye kyun sab pardanashi
aanchal ko savara karta hai
sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai

aanchal ko savara karta hai, aanchal ko savara karta hai
kuchh aise nazarwale bhi hai jo chup chup ke nazara karte hai
kuchh aise nazarwale bhi hai jo chup chup ke nazara karte hai
sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai

betab nigaaho se kah do jalawo se ulajhna thik nahi
jalawo se ulajhna thik nahi, jalawo se ulajhna thik nahi

jalawo se ulajhna thik nahi
aana sambhal ke pardanashino ke saamne
jhukti hai zindagi bhi hasino ke saamne
mahfil me husn ki jo gaya shaan se gaya
jisne nazar milayi wahi jaan se gaya
betab nigaaho se kah do jalawo se ulajhna thik nahi
jalawo se ulajhna thik nahi, jalawo se ulajhna thik nahi
ye naaz-o-ada ke matwala bemaut bhi maara karte hai
ye naaz-o-ada ke matwala bemaut bhi maara karte hai
sharma ke ye kyun sab pardanashi aanchal ko savara karta hai

koi na hasino ko puchhe duniya me na ho gar dilwale
duniya me na ho gar dilwale, duniya me na ho gar dilwale

duniya me na ho gar dilwale
nazare jo na hoti to nazaara bhi na hota
duniya me hasino ka guzaara bhi na hota
nazaro ne sikhayi inhe shokhi bhi haya bhi
nazaro ne banaya hai inhe khud bhi khuda bhi
koi na hasino ko puchhe duniya me na ho gar dilwale
duniya me na ho gar dilwale, duniya me na ho gar dilwale
ye husn ki izzat rakhne ko har zulm gawara karte hai
ye husn ki izzat rakhne ko har zulm gawara karte hai
kuchh aise nazarwale bhi hai jo chup chup ke nazara karte hai

chhede na mohabbat ke maare in chaand si surat walo ko
in chaand si surat walo ko, in chaand si surat walo ko

in chaand si surat walo ko
arz kar do ye nuktaachino se ki rahe dur nazanino se
agar ye khush ho to ulfat ka ahtaram kare
agar zara bhi khafa ho to katl-e-aam kare
chhede na mohabbat ke maare in chaand si surat walo ko
in chaand si surat walo ko, in chaand si surat walo ko
ye shokh nazar ke khanzar bhi seene me utara karte hai