Umar Ki Raftaar
Waqt Ki Maar Sahenge Chehre
Jism Chale Jayenge Par
Zinda Rahenge Chehre
Khoye Huye Sapno Mein
Bandhe Huye Apno Mein
Jaane Pehchane Se Kuch
Anjaane Se
Pyar Mein Apnate Huye
Gunaah Ko Chupate Huye
Safar Karte Sadiyon Ka
Bahao Jaise Nadiyon Ka
Daulat Ki Aag Mein Jale Jale Se
Aur Inki Raakh Mein Bujhe Bujhe Se
Chehre, Chehre, Chehre
Jism Chale Jayenge Par
Zinda Rahenge Chehre
Masoom Bhi Yahin Hain
Makkar Bhi Yahin Hain
Bikte Bhi Yahin Hain
Khareeddar Bhi Yahin Hain
Bachpan Jawaani Aur Budhapa
Khud Ko Dekh Khud Hi Se Kaanpa
Aaine Mein Khud Ko Niharte
Guzari Soorat Ko Pukaarte
Waise To Duniyan Mein Sabhi Insaan Hai
Waise To Duniyan Mein Sabhi Insaan Hai
Phir Bhi Sabki Alag Pehchan Hai
Alag Alag Pehchan Se
Sharminda Rahenge Chehre
Alag Alag Pehchan Se
Sharminda Rahenge Chehre
Jism Chale Jayenge Par
Zinda Rahenge Chehre
Jism Chale Jayenge Par
Zinda Rahenge Chehre
Zinda Rahenge Chehre.