Kashmir Main Tu Kanya Kumari Lyrics | Chennai Express

                        
                        chipak chipak ke chalti hai kabhi kabhi to raahe
jude jude kuchh aise ke laga ho jaise gam
double double hoti thi jo kabhi kabhi taklife
kisi ke sang me chalne se hui half se kam
o tera-mera mera-tera tera-mera
mera-tera kissa atrangi
kabhi kabhi chalti hai
kabhi kabhi rukti kahani bedhangi
kashmir main tu kanyakumari
north south ki kat gayi dekho duri hi sari
kashmir tu main kanyakumari
fifty fifty har situation me hissedari

ek taraf to jhagda hai sath phir bhi tagda hai
do kadam chalte hai to lagta hai aath hai
do tarah ke flavour, sau tarah ke tewar
darbadar firte hai ji phir bhi apni thaat hai
kabhi kabhi chale sidhe kabhi mud jaye
kabhi kabhi kahi tute kabhi jud jaye
ham sham-sahar ke charo pehar ke mud me dhal jaye
kashmir main tu kanyakumari
uttar ne dakshin ko aflatun aankh maari
kashmir tu main kanyakumari
tel bechne jaye to phir ye duniya saari

main jara sa puncture to tu hawa ke jaisi hai
sath ho to pahiye takdiro ke tight ho
bulb ban jaau main aur tu switch ban ja
bhad me jaye duniya apni takdir bright ho
kabhi kabhi chale sidhe kabhi mud jaye
kabhi kabhi paidal kabhi ud jaye
hame dekh jamane walo ki chahe naak sikud jaye
kashmir main tu kanyakumari
halke fulke packet me dekho mushkil bhaari
kashmir tu main kanyakumari
hindi me gustakhi hai to english me sorry

chipak chipak ke chalti hai kabhi kabhi to raahe
jude jude kuchh aise ke laga ho jaise gam
double double hoti thi jo kabhi kabhi taklife
kisi ke sang me chalne se hui half se kam
o tera-mera mera-tera tera-mera
mera-tera kissa atrangi
kabhi kabhi chalti hai
kabhi kabhi rukti kahani bedhangi
kashmir main tu kanyakumari
north south ki kat gayi dekho duri hi sari
kashmir tu main kanyakumari
fifty fifty har situation me hissedari