ye bata, ye bata ae jindagi ke faatma
ye bata, ye bata ae jindagi ke faatma
saamne tere luta kyu kaarwa
ye bata ae jindagi ke faatma
apne ghar ko aag laga di
yun basti bhi viraan hui
apni duniya aap luta di
har mushkil aasaan hui
le chuka kya diljalo ka imthaan
ye bata, ye bata ae jindagi ke faatma
dil me basne waale tune
dil ka shisha chur kiya
baat baat par hansne waale
rone par majbur kiya
dur hai majbur hai jaaye kahan
ye bata, ye bata ae jindagi ke faatma
dekh tabahi honth seeye
to chhale dil ke fut pade
tere man ko chot lagi
aakaash se taare tut pade
aankh se tapki jo meri daastaan
ye bata, ye bata ae jindagi ke faatma
ye bata, ye bata ae jindagi ke faatma