teri chamakti aankho ke aage ye sitare kuch bhi nahi
tu jo badha de hath zara, dunia ke sahare kuch bhi nahi
teri chamakti aankho ke aage ye sitare kuch bhi nahi
man liya dilkash hai bahut, ye rat hasi ye chand java

baat jo dekhi hai tujh me, nazaro me vo baat kaha
samne mere tu ho agar, duniya ke nazare kuchh bhi nahi
teri chamakti aankho ke aage ye sitare kuch bhi nahi
sath hai mere tu jab tak, roshan hai jivan ki rahe

kyu ho mujhe manzil ka gam, patvar hai jab teri bahe
manjhi hai gar tu naiya ka, tufan ke dhare kuch bhi nahi
teri chamakti aankho ke aage ye sitare kuch bhi nahi
bandh liya bandhan me tumhe, bas me kar liya baharo ko
hai ye vo bandhan jo kar de azad gamo ke maro ko
pyar ki tere chav mile to gam ke sharare kuch bhi nahi