kuchh aur zamana kehta hai, kuchh aur hai zidd mere dil ki
kuchh aur zamana kehta hai, kuchh aur hai zidd mere dil ki
main baat zamane ki maanu, ya baat sunu apne dil ki
kuchh aur zamana kehta hai
duniya ne hame berahami se thukara jo diya, achchha hi kiya
thukara jo diya, achchha hi kiya
naadan ham samajhe baithe the
naadan ham samajhe baithe the nibhati hai yaha dil se dil ki
kuchh aur zamaana kehta hai
inasaaf, muhabbat, sachchaayi
inasaaf, muhabbat, sachchaayi vo raham-o-qaram ke dikhalaave
kuchh kehte zubaan sharmaati hai
kuchh kehte zubaan sharmaati hai puchho na jalan mere dil ki
kuchh aur zamaana kehta hai
go basti hai insaano ki insaan magar dhundhe na mila
insaan magar dhundhe na mila
patthar ke buto se kya kije
patthar ke buto se kya kije fariyaad bhala tute dil ki
kuchh aur zamana kehta hai, kuchh aur hai zidd mere dil ki
main baat zamane ki maanu, ya baat sunu apne dil ki
kuchh aur zamana kehta hai