Manzil Pe Pahunchnaa Ab Dushwaar Hamara Hai Lyrics | Chingari

Lyricist : Anjum
Music Director : S Shrivastava , Manohar
Singer : Nalini Jaywant
                        
                        manjil pe pahunchana
ab dushvar hamara hai
tufan mein kashti hai
tufan mein kashti hai
aur dur kinara hai
manjil pe pahunchana

dukh dard ke maro ka
dukh dard ke maro ka
ab koun sahara hai
le de ke fakat tera
ek matra sahara hai
manjil pe pahunchana

kismat hame le aayi
ye koun si duniya mein
ye koun si duniya mein
kismat hame le aayi
ye koun si duniyan mein
ye koun si duniyan mein
suraj ki nigaho mein
dhundhala sa sitara hai
manjil pe pahunchana

kante ki tarah ab to
har jaat bhatkati hai
har jaat bhatkati hai
kante ki tarah ab to
har jaat bhatkati hai
najdik bahut hamse
ab vakt hamara hai
manjil pe pahunchana
ab dushvar hamara hai
tufan mein kashti hai
tufan mein kashti hai
aur dur kinara hai