aaj kal rahne lagi hai kuch ajab si kafiyat
hosh gum badala mera mahaul bhule haisiyat
uth rahe mere kadam is naj is andaj se
jaise mujhko mil gai dono jaha ki milkiyat
jab se kar gya ek shahjada kangna pahnane ka vada
ye ghungharu chhod diye mane ye ghungharu chhod diye

bich bajariya batti rahi mai kiske kiske hatho
aaj mila mohe aisa grahak bik gai jiske hatho
pyar ka aaj mohe naam mila naam se ek naya naam mila
kah gya koi mujhe bhi apna usne dikhlaya jab sapna
ye ghungharu chhod diye mane ye ghungharu chhod diye
nath pahni aur bindiya sajai kajra gajra dara
uske hi naam ka uske hi naam ka rup singar ye sara
ab nahi mai har kisi ke liye nachungi bas apne pi ke liye
tha mere kadmo me jag sara pakar uska ek ishara