Ek chiraiya ghonsle ko
Chhod udd udd jaaye
Aur ye soche kaash
Aisa ho kadam mud jaaye
Ik chiraiya ghonsle ko
Chhod ud ud jaaye
Aur ye soche kaash
Aisa ho kadam mud jaaye
Tinka tinka kar batora
Aur banaaya ghar
Par samay ki barishon
Ne kar diya beghar
Kar diya beghar
Kar diya begharr
O musafir dheer dhar
Aayega sooraj idhar
Kaahe bhaage kaahe bhaage
Door jitna jaayega
Laut phir naa paayega
Kaahe bhaage kaahe bhaage
Ek charraiya ko paraaya
Des kaise bhaaye
Gaaon ka peepal puraana
Yaad usko aaye
Tinka tinka kar batora
Aur banaaya gharr
Par samay ki barishon
Ne kar diya begharr
Kar diya beghar
Kar diya begharr
Yeh jo asuan ki ladi
Beh rahi hai har ghadi
Tere aage tere aage
Yaad rakh har mod par
Ek nayi subah khadi
Kaahe bhage kaahe bhaage
Ik chiraiya aansuon se
Lad jhagad so jaaye
Raah pathreeli hai
Lekin hausla na jaaye
Tinka tinka kar batora
Aur banaaya gharr
Par samay ki baarishon
Ne kar diya begharr
Kar diya beghar
Kar diya begharr.