Main woh raat hoon
Wo haalaat hoon
Jiski na hai door door
Ab toh subah koi
Main toh shor hoon
Par chup-chaap hoon
Mujhse koi khali nahi
Dekho jagah koi
Sun re meri aankhon ki zameen pe
Dena dikhaai kuch nami se
Koi toh jaane meri bebasi bebasi o o..
Sun le mera sooraj bhi galti se
Dooba meri khidki pe
Kahaan se aayegi haan roshni roshni o…
O… wo…
Haan din mein hi shaam si hai
Thodi thakaan si hai
Haara nahi hoon main ab talak toh
Main uth ke phir khada hoon dekho
Haan mere haathon ki laqeerein
Mere haathon mein bachi hai
Koi kya mitayega aake inko
Mere haathon mein rahengi
Toh phir dard saare ye daba ke
Zidd ko ziddi banaa ke
Ab rahunga nahi yun chup main chup main
O.. o…
Toh phir saanse zakhmi banaa ke
Kasmein aansuon ki kha ke
Ab ladunga yahaan bhi khud main khud main
O… O…