Welcome Entertainment Lover’s

Allah Karam Karna Lyrics | Dada

                        
                        Hum sabko nek raah
Chalana mere allaah
Bandon ko buraai se
Bachana mere allaah
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna

Ik vaakayaa sunaati hun
Main apni zubaani
Apne badon se maine
Suni hai ye kahaani
Rehtaa thaa kisi shehar
Mein ek aisa bhi insaan
Jo naam ka muslim tha
Magar kaam ka shaitaan

Zaalim ko zor e baazu
Pe apne gurur thaa
Yaani ke bekhudi mein
Khuda se wo dur thaa
Sab log use kehte thhe
Jallaad sitamgar
Maasum ki fariyaad
Ka us pe na tha asar
Jo waadaa us ne kar liyaa
Wo kar ke dikhaayaa
Paison ke liye qatl
Kiye khun bahaya
Ik din wo behtaa khun
Asar us pe kar gayaa
Insaan zindaa ho gayaa
Shaitaan mar gayaa
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna

Imaan jise kehte hain
Farmaan e khuda hai
Quraan ke har lafz
Mein us ki hi sadaa hai
Allaah ne bakshi hai
Jo imaan ki daulat
Ye sab se badi chiz
Hai insaan ki daulat
Soye huye dilon ko
Jagata hai ye imaan
Bhatke huyon ko raah
Dikhaataa hai ye imaan
Imaan ki garmi se
Pighal jaate hain patthar
Is nur se bante hain
Sanwarte hain muqaddar
Jo sab se pyaar karta
Hai insaan wohi hai
Muslim hai wohi
Saahib e imaan wohi hai
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna

Jis kaam ke karne pe
Na ho raazi koi dil
Wo kaam bhi is duniya
Mein nafrat ke hai kaabil
Jo kuchh bhi zubaan
Keh de wo iqraar nahin hai
Laghzish hai labon ki
Wo gunehgaar nahin hai
Jo dil se nahin karta
Buraai ka iraadaa
Allaah se wo taubaa
Kare tod de waadaa
Jaldi jo sambhal jaaye
Wo nadaan nahin hai
Imaan jis mein ho
Wo beimaan nahin hai
Duniya mein hameshaa
To nahin rehtaa andheraa
Insaan jahaan jaage
Wahin pe hai saveraa
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna

Jo sacche dil se karta
Hai imaan ki aarzu
Allaah ki nazaron mein
Wo hotaa hai surkh ruh
Imaan mein kya kya
Na sahaa pyaare nabi ne
Kya aisi musibat bhi
Utthaayi hai kisi ne
Karbal ke shahidon ne
Sabak hum ko padhaayaa
Sajde mein de ke jaan
Ko imaan bachaayaa
Iss raah mein jo sehte
Hain taqlif o musibat
Ik roz un pe hoti
Hai allaah ki rehmat
Insaan hai wo jo dusron
Ka dil na dukhaaye
Pad jaaye agar jaan
Pe to jaan lutaaye
Allaah karam karna
Maula tu reham karna
Allaah karam karna
Maula tu reham karna.