aansu toh nahee hain aankho me
pahalu me magar dil jalta hai dil jalta hai
bundo pe lahu hai hasarat kaa
jigar par aara sa chalta hai dil jalta hai
jaag uthata hai jab gam kya kahiye
uss wakt kaa aalam kya kahiye
jis raat gaye dhire dhire
jab koi kaleja malta hai dil jalta hai
ae dard-e-jigar ye baat hai kya
ye aap hi apni raat hai kya
hoti hai kasak har dhadkan me
har sans liye khanjar chalta hai
dil jalta hai
ham haar gaye hai tere gam se
dekha hi nahi jata hamse
jalta hai patanga jab koi
aur shamma kaa aansu
dhalta hai dil jalta hai