ek adhuri si mulakat hui thi jisse
ek adhuri si mulakat hui thi jisse
jane ab un se mulakat ho ke na ho
ek adhuri si mulakat hui thi jisse
jis hasi raah pe ham sath chale, the kuch din
jis hasi raah pe ham sath chale, the kuch din
jane us raah pe ab sath kabhi ho ke na ho
jis hasi raah pe ham sath chale, the kuch din
kuch bataya hi nahi hath chudane, ka sabab
kuch bataya hi nahi hath chudane, ka sabab
fir na aane ka sabab, ruth ke jane ka sabab
puchte unse mager, bat kabhi ho ke na ho
ek adhuri si mulakat hui thi jinse
meri khamosh mohabbat na samjha koi
meri khamosh mohabbat na samjha koi
dil yuhi choad gaya aag me jalta koi
dil pe ab pyar ki barsat ho ke na ho
jis hasi raah pe ham sath chale, the kuch din
zindagi ko kisi chehere ka ujala na mila
zindagi ko kisi chehere ka ujala na mila
thak gaye paav mager koi saya na mila
unki julafo ke tale raat kabhi ho ke na ho
ek adhuri si mulakat hui thi jisse
hame socha tha ke ab sath na chutega kabhi
hame socha tha ke ab sath na chutega kabhi
zindagi bhar ka bhandhan hai na tutega kabhi
do ghadi bhi mager ab sath kabhi, ab sath ho ke na ho
jane us raah pe ab sath kabhi ho ke na ho
ek adhuri si mulakat hui thi jisse
jane ab un se mulakat ho ke na ho