ye kyaa hai dhang zamaane kaa
kaisi ye khudaai hai
har ek bhalaai kaa badlaa
duniyaa me buraai hai
ye kyaa hai dhang zamaane kaa
har baat bane afasaanaa jahaan
har naam pe tohmat aati ho
uthte hi koi maasum nazar
bas rusvaai ho jaati ho
ai dil aisi mahfil se to
behatar tanahaai hai
har ek bhalaai kaa badlaa
duniyaa me buraai hai
ye kyaa hai dhang zamaane kaa
dil paar huaa bezaar huaa
ab jinaa yahaan dushvaar huaa
dil paar huaa bezaar huaa
jhuthe taano ko sunkar main
majbur huaa laachaar huaa
kahin le chal ai dil ye nagari
mujhe raas na aai hai
har ek bhalaai kaa badlaa
duniyaa me buraai hai
ye kyaa hai dhang zamaane kaa