Angoothi Angoothi Jane Nahi Dungi Lyrics | Daku Aur Mahatma

                        
                        anguthi anguthi anguthi anguthi
jane nahi dungi pakad tujhe lungi
o jane nahi dungi pakad tujhe lungi
ye pyar ki nishani balam tujhe dungi
nikal ke anguthi uchhal ke anguthi
rakhiyo sanwariya sambhal ke anguthi
jane nahi dungi pakad tujhe lungi
ye pyar ki nishani balam tujhe dungi
nikal ke anguthi uchhal ke anguthi
rakhiyo sanwariya sambhal ke anguthi

bachpan se maine ye anguthi
ungli ungli pahni hai
o bachpan se maine ye anguthi
ungli ungli pahni hai
sari umar jo rakhe jatan se
chiz usi ko deni hai
sari umar jo rakhe jatan se
chiz usi ko deni hai
anguthi jo khoyi ro ro marungi
jo tu nahi lega padosi ko dungi
nikal ke anguthi uchhal ke anguthi
rakhiyo sanwariya sambhal ke anguthi

main hu aisa phul jise kisi bhanware
ne nahi chakha hai
o main hu aisa phul jise kisi bhanware
ne nahi chakha hai
teri khatir rup ka sona
sabse bachakar rakha hai
teri khatir rup ka sona
sabse bachakar rakha hai
kaha na jo kisi se
wo tujhse kahungi
jo tu na sunega padosi ko dungi
nikal ke anguthi uchhal ke anguthi
rakhiyo sanwariya sambhal ke anguthi

heera na maangu moti na chahu
karle pyar se do batiya
o heera na maangu moti na chahu
karle pyar se do batiya
kar dungi tere naam sajanwa
sare din sari ratiya
kar dungi tere naam sajanwa
sare din sari ratiya
vachan hai ye mera tujhi pe mitungi
jo tu na dega kisi ko na dungi
rahungi teri ungli me daal ke anguthi
rakhiyo sanwariya sambhal ke anguthi
jane nahi dungi pakad tujhe lungi
o jane nahi dungi pakad tujhe lungi
ye pyar ki nishani balam tujhe dungi
nikal ke anguthi uchhal ke anguthi
rakhiyo sanwariya sambhal ke anguthi