gulo ko khilaaun baharo se khelu
main apne hi dil ke ishaaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu
main apne hi dil ke ishaaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu
nigaaho se dur jaau
kisi ke na hath aaun
muskuraaye diwana jab
jhum ke main geet gaau
main kudrat ke rangi najaaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu
main apne hi dil ke ishaaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu
ghata ka salam lun main
hawa ka payam lun main
uthu jab bhi tufaa ban ke
aasma ko tham lun main
ek mauj hun jo kinaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu
main apne hi dil ke ishaaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu
nazar to uthae koi
aankh to milaaye koi
kahan hai vo dekho
mere saamne to aaye koi
main uljha ke daman ko khaaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu
main apne hi dil ke ishaaro se khelu
gulo ko khilaaun baharo se khelu