Duniya parai log yaha beganae
Dil par jo beeti wo dil hi jane
Apne desh mein hum hai pardesi
Koi na pahchane
Duniya parayi log yaha begane
Dil par jo biti wo dil hi jane
Kaisa gham hai kya majboori hai
Kaisa gham hai kya majboori hai
Pas hai jo unse bhi doori hai
Dil yun tadpe jaise
Koi gunga bolna chahe
Lekin sab hai anjane
Apne hi desh mein hum hai pareshi
Koi na pahchane
Duniya parayi log yaha begane
Dil par jo beete wo dil hi jane
Koi bata de hum kyun zinda hai
Koi bata de hum kyun zinda hai
Hum kyu khud se bhi sarminda
Apni hi aankho se gire hai
Banke hum ek aasu
Mane koi ya nahi mane
Apne hi desh mein hum hai pardesi
Koi na pahchane
Duniya parai log yaha begane
Dil par jo beete wo dil hi jane
Apne hi desh mein hum hai pardesi
Koi na pahchane
Koi to jine ka bahana ho
Koi to jine ka bahana ho
Koi wada ho jo nibhana ho
Koi safar koi to rasta
Koi to manzil ho
Sunle aye dil deewane
Apne desh mein hum hai pardesi
Koi na pahchane
Duniya parai log yaha begane
Dil par jo beete wo dil hi jane
Socha hai ab door chale jaye
Socha hai ab door chale jaye
Apne sapno ki duniya paye
Us duniya mein pyar ke phul
Aur khushiyo ke moti hai
Jo na diye is duniya ne
Apne hi desh mein hum hai pardesi
Koi na pahchane
Duniya parai log yaha begane
Dil par jo beete wo dil hi jane
Apne hi desh mein hum hai pardesi
Koi na pahchane.