(jag suna suna thera thera sa
mera sapna apna ghera ghera sa) - 2
sare sehar ki jagmag ke bitar hai andhera
har muskan ke peeche chupa hua gum ka chehra
yehi hai sach to harpal ko jee lu mein jee bhar ke
aur has has ke yeh keh dun dukho ke pathar se
alvida alvida, alvida alvida
koi waqt ke aage hara hara sa
koi pyaar mein firta mara mara sa
dil ke riston mein kyon dard hamesha milta hai
aur kyon kaanton per hi phool sukho ka khilta hai
yehi hai sach to mein iss sach ko hi apnaunga
mar bhi jaunga to mein pyaar amar kar jaunga
alvida alvida, alvida alvida
alvida alvida, alvida alvida
(zindagi na mil ajnabi banke) - 2
(bandagi shamil har dua banke) - 2
zindagi na mil ajnabi banke
bandagi shamil har dua banke.