Welcome Entertainment Lover’s

Taron Mein Chamak Lyrics | Daulat

                        
                        Ha aaj taron mein chamak
Phulo mein rangat na rahegi
Aaj taron mein chamak
Phulo mein rangat na rahegi
Ho kuch bhi na rahega
Jo kuch bhi na rahega
Jo mohabbat na rahegi
Haye kuch bhi na rahega
Jo mohabbat na rahegi

Mohabbat se rangeen
O mohabbat se rangeen
He har kahani
O ho ho mohabbat se rangeen
He har kahani
Mohabbat na hoti to
Kuch bhi na hota
Mohabbat se rangeen
He har kahani
Mohabbat na hoti to
Mohabbat na hoti to
Kuch bhi na hota
Mohabbat se rangeen
He har kahani
Mohabbat na hoti to
Kuch bhi na hota
Mohabbat se rangeen
He har kahani

Jhoote hai sab rishte naate
Jhooti mohabbat teri
Jab tak daulat sath hai tere
Sath hai kismat teri
Zamane mein daulat ki
Hai hukm rani
Zamane mein daulat ki
Hai hukm rani
Yeh daulat na hoti to
Yeh daulat na hoti to

Kuch bhi na hota
Zamane mein daulat ki
Hai hukm rani
Yeh daulat na hoti to
Kuch bhi na hota
Zamane mein daulat ki
Hai hukm rani

Ho mohabbat se roshan
Har ek ghar ka aangan
Yeh mathe ki bindiya
Yeh naino ki nindiya
Yeh faile to dharti
Yeh simte to aanchal
Yeh chhalke to sagar
Yeh chhanke to payal
Ho faile to dharti simte to aanchal
Yeh faile to dharti
Yeh simte to aanchal
Yeh chhalke to sagar
Yeh khanke to payal
Yeh faile to dharti
Yeh simte to aanchal
Yeh chhalke to sagar
Yeh khanke to payal
Ha ha ha yeh rakhi ka bandhan
Yeh mamta ka daman
Ho yeh rakhi ka bandhan
Yeh mamta ka daman

Yeh rakhi ka bandhan
Yeh mamta ka daman
Ho mohabbat ki har
Dil mein hai rajdhani
Mohabbat ki har
Dil mein hai rajdhani
Mohabbat na hoti to
Kuch bhi na hota
Mohabbat se rangeen
He har kahani

Yeh daulat hai daulat
Har ek dil ki chaahat
Jaha bhi yeh aaye
Naseeba jagaye
Yeh daulat hai daulat
Har ek dil ki chaahat
Jaha bhi yeh aaye
Naseeba jagaye
Yeh barse to savan
Yeh mehke to jangal
Yeh chamke to darpan
Yeh lachke to joban
Yeh moti ki surat
Aa ha sone ki murat
Yeh moti ki surat
Yeh sone ki murat
Yeh moti ki surat
Yeh sone ki murat

Aa ha yeh daulat hi raja
Yeh daulat hi rani
Yeh daulat hi raja
Yeh daulat hi rani
Yeh daulat na hoti to
Kuch bhi na hota
Zamane mein daulat ki
Hai hukm rani

Ha mohabbat dasahera
Mohabbat deewani
Ho na ho paas paisa to
Har raat kali
Ho mohabbat ki dum se
Yeh zannat hai duniya ha
Magar muflisi mein
Musibat hai duniya
Ho mohabbat hai izzat
Ha yeh izzat kharide
Ha yeh chaahat jagaye
Achha yeh chaahat kharide
Mohabbat se har ha
Daulat badi hai
Jaha hai yeh daulat
Wahi zindagi hai

Ha ha ha ha ha
Yeh daulat hai ravan
Mohabbat hai sita

Mohabbat hi kaba
Mohabbat hi geeta
Mohabbat hi kaba
Mohabbat hi geeta
Ho mohabbat zameen pe
Khuda ki nishani
Mohabbat zameen pe
Khuda ki nishani
Mohabbat na hoti to
Mohabbat na hoti to
Kuch bhi na hota
Mohabbat se rangeen
He har kahani
Mohabbat se rangeen
He har kahani
Mohabbat na hoti to
Kuch bhi na hota
Mohabbat se rangeen
He har kahani.