Aankho peh bharosa mat kar
Duniya jadu kaa khel hai
Har chij yaha ek dhokha
har bat yaha bemel hai
O matvale hans ley ga ley
Ley jine kaa maja
Iss duniya ki bhid me too
Bhi meri tarah tanha ban ja
Aankho peh bharosa
Kahane ko toh sab kahate hain
Iss bat me kya rakha hai
Par yah toh koyi batalaye
Kya jhutha hai kya sachcha hai
Ham divane bas yah jane
Jo kuchh hai so achchha hai
Aankho peh bharosa
Iss rah key ham sab rahi
Pahchan hai yeh pal bhar ki
Kal ko juda kar degi hamko
lahar iss jivan ki
Jine wale ji bahla ley
Kal sochenge phir kal ki
Aankho peh bharosa.