Suno to
Yeh mera tumhara
Jo rishta hai ek raasta hai
Main tum se guzar kar hi
Tum tak pahunchne ki raftaar
Mera agaaz tum
Mera anzaam tum
Tumhe dekh kar main
Tumhe sochta hoon
Tumhe pake hi main
Tumhe khojta hoon
Tum apne badan
Ke samundar main
Barson se koshida
Ek khwab ho
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi mere saath the tum
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi mere saath the tum
Dil main dhadkan ki tarah
Tan main jeevan ki tarah
Mere dharti mere mausam
Mere dil raat the tum
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi mere saath the tum
Phool khilte the to aati
Thi tumhari khushboo
Phool khilte the to aati
Thi tumhari khushboo
Aur haseen sham jagati
Thi tumhara jadoo
Aine main mere har
Din ki mulakaat the tum
Dil main dhadkan ki tarah
Tan main jeevan ki tarah
Mere dharti mere mausam
Mere dil raat the tum
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi mere saath the tum
Adh mudhi aankh main
Sajta hua ek khwaab the tum
Adh mudhi aankh main
Sajta hua ek khwaab the tum
Pahli barsaat main bheega
Hua mehkaab the tum
Akhen meri thi magar
Inki har ek baat the tum
Dil main dhadkan ki tarah
Tan main jeevan ki tarah
Mere dharti mere mausam
Mere dil raat the tum
Jab nahi aaye the tum
Tab bhi mere saath the tum.