Uljhi huyi ye doriyaan
Uljhi huyi ye doriyaan
Suljaane dil ki tu sune agar
Dil sachchaa hai dilwaale
Raahe nahi aise to kahin
Jahaan kahin koi mod nahi
Kehta hai ye dil ab jaane bhi de
Tute shisho ko tu jod nahi
Raaho mein do raahe
Aate hai sau baar
Kadam kadam ikraar hai
Kadam kadam inkaar
Phir bhi yeh zindagi
Palbhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehre yeh waqt ki
Palbhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiya hai ghul si gayi saanson mein
Kya karen!!
Maana kahin koi bhi nahi
Jise mila kabhi gham na ho
Par humko to woh gham hai jo
Ik pal ko bhi kam na ho
Humne jo baazi kheli jeet nahi paaye
Ab woh tanhaai hai jo beet nahi paayi
Phir bhi yeh zindagi
Palbhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehre yeh waqt ki
Pal bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiya..tanhaaiya..
Hai ghul si gayi saanson mein
Kya karen!!
Angadaai leti hai phir se umeedein
Palko pe chhaye jo sapne
Jaag uthate hai phir jaise dil mein
Armaan jo soye they apne
Jaana thaa kis rastey ye bhi na tu jaane
Kyun aye dil deewane
Phir bhi yeh zindagi
Palbhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Lehre yeh waqt ki pal
Bhar ko bhi kabhi rukti hi nahi
Tanhaaiya hai ghul si gayi saanson mein
Kya karen!!
Uljhi huyi ye doriyaan
Uljhi huyi ye doriyaan
Suljaane dil ki tu sune agar
Dil sachchaa hai dilwaale.