dil jo bhi kahega manege duniya me hamara dil hi to hai
har hal me jisne sath diya wo ek bechara dil hi to hai
dil jo bhi kahega manege duniya me hamara dil hi to hai
koi sathi na koi sahara koi manjil na koi kinara
ruk gaye jaha is dil ne roka chal diye jis taraf dil pukara
hum pyar ke pyase logo ki, hum pyar ke pyase logo ki
manjil ka ishara dil hi to hai duniya me hamara dil hi to hai
dil jo bhi kahega manege duniya me hamara dil hi to hai
har mani nahi zindagi se hans ke milte rahe har kisi se
kyu na is dil pe kurban jaye sah liye jisne gam bhi khushi se
sukh me jo na khele hum hi to hai, sukh me jo na khele hum hi to hai
dukh se jo na hara dil hi to hai duniya me hamara dil hi to hai
dil jo bhi kahega manege duniya me hamara dil hi to hai
apni zindadili ke sahare humne din zindagi ke gujare
varna is bemurabat jaha me aur kabje me kya hai hamare
har chij hai dolat walo ki, har chij hai dolat walo ki
muflish ka sahara dil hi to hai duniya me hamara dil hi to hai
dil jo bhi kahega manege duniya me hamara dil hi to hai
har hal me jisne sath diya wo ek bechara dil hi to hai.