tu na thi jab yaha jaise koi kami thi
hanske bhi aankho me halki halki nami thi
tu jo aayi to chhalka hua jaise pyar hai
tu jo aayi to jaise ke aayi bahar hai
tu jo yu dil me hamare aa gayi
zazbat jage kai khushiya mili hai nayi
ghar ke aangan me khushiyo ki jaise fuhar hai
apne pyaase ko deke pani
ki hai samjhane ki meharbani
apne kya hai sapne kya hai
hota kaise mohabbat ka ikraar hai
tu jo aayi to chhalka hua jaise pyar hai
ha subh din aa gaya sabko iski badhai
ye ghadi ek nai zindagi sath laayi
zindagi aa gayi ek nayi mod par
beeti baato ko ab pichhe hi chhod kar
dekho kisko tumhara kaha intzaar hai
tu jo aayi to jaise ke aayi bahar hai
meri aankho ab koi dekhe na mere aansu
mere dil is gam ko sabse chhupa ke rakh le tu
kyu ho yu khoye se, kyu ho yu gum sum se
dil ki sari bate kaise kahu tumse
kya kahu kitni mujhko khushi
ye dekh kar hai mili aaj khush hai koi
jiski chahat ke sagar ka nahi koi par hai
zindagi aa gayi ek nayi mod par
beeti baato ko ab pichhe hi chhod kar
dekho kisko tumhara kaha intzaar hai
tu jo aayi to chhalka hua jaise pyar hai
tu jo aayi to jaise ke aayi bahar hai