Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hain
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hain
Afsos yeh hai ke woh hamse
Kuch ukhda ukhda rehta hain
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hain
Jis roz se dekha hain usko
Hum shama jalana bhool gaye
Dil thaam ke aise baithe hain
Kahin aana jaana bhool gaye
Ab aath pahar in aankhon mein
Woh chanchal mukhda rehta hain
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hain
Barsaat bhi aakar chali gayi
Badal bhi garaj kar baras gaye
Barsaat bhi aakar chali gayi
Badal bhi garaj kar baras gaye
Par uski ek jhalak ko hum
Ae husn ke malik taras gaye
Kab pyas bujhegi aankhon ki
Din raat yeh dukhda rehta hain
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai
Afsos yeh hai ke vo humse
Kuch ukhda ukhda rehta hai
Mere samne wali khidki mein
Ek chaand ka tukda rehta hai.