Shaam hai dhuaan dhuaan
Shaam hai dhuaan dhuaan
Oh, shaam hai dhuaan dhuaan
Jism ka ruwaan ruwaan
Uljhi uljhi saanson se
Baheki baheki dhadkan se
Keh raha hai aarzoo ki daastaan
Oh, shaam hai dhuaan dhuaan
Shaam hai dhuaan dhuaan
Aarzoo jhoot hai, kahaani hai
Aarzoo ka fareb khaana nahin
Khush jo rehna ho zindagi mein tumhe
Dil kisi se kabhi lagaana nahin
Mere dil pe jo likha hai
Voh tumhaara naam hai
Meri har nazar mein jaana
Tumko salaam hai
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai
Pyaar hai, pyaar hai
Goonjte hai mere pyaar se
Yeh zameen aasmaan
Ho, shaam hai dhuaan dhuaan
Hai, shaam hai dhuaan dhuaan
Kyoon banaati ho tum ret ke yeh mahal
Jinko ek roz khud hi mitaaogi tum
Aaj kehti ho is diljale se pyaar hai tumhe
Kal mera naam tak bhool jaaogi tum
Tumhe kyoon yakeen nahin hai
Ke main pyaar mein hoon gum
Ho, mere khwaabon mein tum hi ho
Mere dil mein tum hi tum
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai
Mujhko tumse pyaar hai
Haan pyaar hai, hmm, pyaar hai
Pyaar mein nisaar ho gaye
Mere jism aur jaan
Shaam hai dhuaan dhuaan
Jism ka ruwaan ruwaan
Uljhi uljhi saanson se
Baheki baheki dhadkan se
Keh raha hai aarzoo ki daastaan
Oh, shaam hai dhuaan dhuaan
Hey, shaam hai dhuaan dhuaan
Ek pal mein jo aakar guzar jaata hai
Yeh hawa ka voh jhonka hai, aur kuch nahin
Pyaar kehti hai yeh saari duniya jisse
Ek rangeen dhoka hai, aur kuch nahin.