ye jamin hai rehgujar tere mere vaste
har ghadi hai ik safar tere mere vaste
nayi manjilo ko chale naye raste
ye jamin hai
iss gagan ke tale ham jo ghar se chale
sirf ye khaab hi sath hai
agle hi mod par hone ko hai sahar
bas jara der ko rat hai
kushiyo se honi abhi mulakat hai
ye jamin hai
jane kyo ye hua kyu chali ye hawa
bujh gaye har khushi ke diye
kaisi rut aayi hai sath jo lai hai
itne gam mere dil ke lie
ye garm aansu koi kaise piye
ye jamin hai
gam ki divar se dukh ki janjir se
ruk saki hai kaha jindagi
ik naya hausala leke ye dil chala
aarju dil me hai phir nai
in aankho me phir hain saje khaab kai
ye jamin hai
ye jamin hai rehgujar tere mere vaste
har ghadi hai ik safar tere mere vaste