Meri Bhi Koi Behna Hoti Lyrics | Do Khiladi

                        
                        meri bhi koi bahna hoti bholi bhali gudiya jaisi
yani bilkul tere jaisi fir to jhum ke gate hum
piye bina lahrate hum jhum jhum jhum jhum
jhum jhum jhum jhum jhum
meri bhi koi bahna hoti bholi bhali gudiya jaisi
yani bilkul tere jaisi fir to jhum ke gate hum
piye bina lahrate hum jhum jhum jhum jhum
jhum jhum jhum jhum jhum

wo jab hoti choti si to sabka dil bahlati wo
wo jab hoti choti si to sabka dil bahlati wo
aati jab school se wapas jeck and jill fir gati wo
tata thaiya karke sare ghar ko nach dikhati wo
wo jab roti or chup na hoti
uska man bahlate hum or fir jhum ke gate hum
jhum jhum jhum jhum jhum jhum
jhum jhum jhum meri bhi koi bahna hoti

wo gudiya jab hoti sayani sahjadi kahlati wo
wo gudiya jab hoti sayani sahjadi kahlati wo
solah baras ki jab ho jati pritam ke ghar jati wo
or jab uska man ghabrata hamse milne aati wo
bhaiya kahkar wo sharmati
man hi man muskate hum or fir jhum ke gate hum
jhum jhum jhum jhum jhum jhum
jhum jhum jhum meri bhi koi bahna hoti

lekin ye sab khwab hai mere jinki koi tabir nahi
lekin ye sab khwab hai mere jinki koi tabir nahi
man darpan me jisko sajate aisi koi taswir nahi
maine kaisi kismat payi suni padi hai meri kalai
kaun kahega mujhko bhai
kaun kahega mujhko bhai mujhko bhai.