ashqo ki kahaani kyaa kahiye
aaho kaa fasaanaa kyaa kahiye
hans-hans ke rulaata hai kaise
bedard zamaanaa kyaa kahiye
ashqo ki kahaani kyaa kahiye
jab chaandani raate hoti thi
jab pyaar ki baate hoti thi
jab pyaar ki baate hoti thi
ab tak jo basaa hai aankho me
ab tak jo basaa hai aankho me
wo khwaab suhaanaa kyaa kahiye
ashqo ki kahaani kyaa kahiye
jiwan ke chaman tak aate hi
rangin bahaare laut ga
jiwan ke chaman tak aate hi
rangin bahaare laut ga
ho ruthi hui kismat kaa haay
ho ruthi hui kismat kaa haay
bharpur nishana kyaa kahiye
ashqo ki kahaani kyaa kahiye
maanaa ki sitamagar duniyaa hai
sunne ke liye betaab magar
sunne ke liye betaab magar
jab wo nahi sunne waalo me
jab wo nahi sunne waalo me
phir apanaa fasaanaa kyaa kahiye
ashqo ki kahaani kyaa kahiye
aaho kaa fasaanaa kyaa kahiye
hans-hans ke rulaata hai kaise
bedard zamaanaa kyaa kahiye
ashqo ki kahaani kyaa kahiye