Lakho Rango Se Ranganna Hai Lyrics | Do Sholay

                        
                        Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Ho jiski god me ganga jamuna
Laga rahi hai tan
Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Lakho rango

Apne sar pe saji himalay ki
Ye uchi choti
Dudh ka jharna banke bahti
Dhare choti choti
Inki nadiyo ke pani se
Inki nadiyo ke pani se
Bharo anaj ki kothi
Iski pooja karle
Jisse milti sabko roti
Gautam gandhi
Gautam gandhi ka hum sabne
Paya hai wardan
Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Lakho rango

Khet khet ki pagdandi par
Aati hai dulhaniya
Pal chin hil mil geet desh ka
Gati ye jhilmaniya
Yaha ki dharti moti deti
Yaha ki dharti moti deti
Sone ki ye galiya
Gaw ki chori hai ye
Apne chaman ki kaliya
Mehnat inki
Mehnat inki dekha ke sari
Ye dunia hairan
Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Lakho rango

Shar se mera yar aaya hai
Leke tractor sath
Sara sahar dekhna aaya
Lohe ki saugat
Hal chalawe bij bhi dale
Hal chalawe bij bhi dale
Kam kare din rat
Sabki mushkil dur howegi
Abke banegi bat
Yahi akal ka
Yahi akal ka kam kiya hai
Sacha tuhi kisan
Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Ho jiski god me ganga jamuna
Laga rahi hai tan
Lakho rango se
Rangna hai apna hidustan
Lakho rango.