husn se chaand bhi sharmaaya hai
teri surat ne ghazab dhaaya hai
husn se chaand bhi sharmaaya hai
teri surat ne ghazab dhaaya hai
haaye in pyaar mein dubi huyee aankhon ki kasam
haaye in pyaar mein dubi huyee aankhon ki kasam
aadmi kya hai farishton ke behak jaayen kadam
aadmi kya hai farishton ke behak jaayein kadam
bin piye mujhpe nasha chhaaya hai
teri surat ne ghazab dhaaya hai
husn se chaand bhi sharmaaya hai
teri surat ne ghazab dhaaya hai
muskuraayen jo tere lab to bahaaren aayin
muskuraayen jo tere lab to bahaarein aayin
khil gaye phul padi teri jahaan parchaayee
khil gaye phul padi teri jahaan parchaayee
tune gulshan mera mehkaaya hai
teri surat ne ghazab dhaaya hai
husn se chaand bhi sharmaaya hai
teri surat ne gazab dhaaya hai