banaa ke mera mukaddar bigadne vaale
jawaab de o mera ghar ujaadne vaale
kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi
kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi
zindagi meri mitane ko mohabbat ki thi
kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi
aankh me khwaab lab pe kahaani teri
aankh me khwaab lab pe kahaani teri
mujhko tadapaati hai din-raat nishaani teri
kyaa mujhe tune rulaane ko mohabbat ki thi
zindagi meri mitane ko mohabbat ki thi
kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi
o mujhe bhulne vaale tu kaha hai aajaa
o mujhe bhulne vaale tu kaha hai aajaa
kyaa hui mujhse khataa ye to zaraa batlaa jaa
yaa ye kah de ke dikhaane ko mohabbat ki thi
zindagi meri mitane ko mohabbat ki thi
kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi
kyaa yun hi ruth ke jaane ko mohabbat ki thi