Kafan Apna Kabhi Lyrics | Dost Garibon Ka

                        
                        Kafan apna kabhi seene na denge
Ye pyase hai tumhe pine na denge
Kisi ko chain se jeene na denge
Tum inki jaan barbat se chuda do
Zamane se garibi ko hata do

Zamane se garibi ko hata do
Zamane se garibi ko hata do hata do
Amiro amiro sab garibo ko mita do
Amiro sab garibo ko mita do
Zamane se garibi ko hata do

Kaha tak inki aaho se daroge
Ye khali pet tum kab ta kbharoge
Kaha tak inki aaho se daroge
Ye khali pet tum kab ta kbharoge
Agar ye jag uthe to kya karoge
To kya karoge
Hamesha ke liye inko sula do
Hamesha ke liye inko sula do
Zamane se garibi ko hata do

Sikayat ka na lega naam koi
Karega kyu tumhe badnam koi
Sikayat ka na lega nam koi
Karega kyu tumhe badnam koi
Na hoga tumpe fir ilzam ilzam koi
Tum inke khun ki kimat chuka do
Tum inke khun ki kimat chuka do
Zamane se garibi ko hata do

Nahi darte kisi bhi kahar se ye
Nahi darte kisi bhi kahar se ye
Nahi marte kisi bhi jahar se ye
Jale jayenge pat kisi sahar se ye
Chale jayenge khud isi sahar se ye
Laga do aag inke ghar jala do
Laga do aag inke ghar jala do

Zamane se garibi ko hata do hata do
Amiro amiro sab garibo ko mita do
Amiro sab garibo ko mita do
Zamane se garibi ko hata do.