Aasma par hai jitne sitare
Dil me hai dag utne hamare
Ho na ho kuch khabar tumko iski
Magar hai ye bakshe hue sab tumhare
Aasma par hai jitne sitare
Aas baki rahi zindagi na rahi
Sama jalti rahi roshni na rahi
Aaj hotho pe baki hasi na rahi
Aaj pahli si dil me khushi na rahi
Kaun bigdi hamari saware
Aasma par hai jitne sahare
Ajnabi rashte the hame na bhale
Hum chale to badhe aur bhi fasle
Lut gayi beraham aasma ke tale
Jane kitni tamannao ke fir kafile
Tum hamare hue na hamare
Aasma par hai jitne sitare
Fuk de koi is chandani rat ko
Jis najar se hum unki mulakat ko
Lut le koi taro ki barat ko
Aag lag jaye dunia ki har bat ko
Dhundte rah gaye hum kinare
Aasma par hai jitne sitare
Dil me hai dag utne tumhare
Aasma par hai jitne sitare
Dil me hai dag utne hamare
Ho na ho kuch khabar tumko iski
Magar hai ye bakshe hue sab tumhare
Aasma par hai jitne sitare.