kahi dur sahra ke saye me machla tha koi tufan
or ek masiha ke aane ka likh ke gaya elan
drona drona drona

sadiyo se sahmi sahmi gumsum ruthi ruthi thi fiza
jahrili sanso se bojhil thi thahri thahri ye hawa
khoi khoi khamoshi me gunji kahi se uski sada
sadiyo se sahmi sahmi gumsum ruthi ruthi thi fiza
na jane kya tha kaisa junu tha wo
bahta tha rag rag me jo
har sadi me aata raha hai wo ban ke drona
kahi dur sahra ke saye me machla tha koi tufan
or ek masiha ke aane ka likh ke gaya elan
drona drona drona
kadamo mein lipte kaise kaise uljhano ke silsile
manjil ke rasto mein faile the kanto ke ve kafile
kayam raha apni raho par to milti nahi mushkile
kadamo mein lipte kaise kaise uljhano ke silsile
roke ruka na kabhi jhuka na
dard ki varish mein bhi har sadi mein bhi
aata raha vo banke drona
kahi dur sahra ke saye me machla tha koi tufan
or ek masiha ke aane ka likh ke gaya elan
drona drona drona.