Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani Lyrics | Duniyadari

                        
                        Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani
Jindagi Ki Yahi Hai Kahani
Phir Bhi Har Hal Mein Muskurake
Duniya Dari Padegi Nibhani

Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani
Jindagi Ki Yahi Hai Kahani
Phir Bhi Har Hal Mein Muskurake
Duniya Dari Padegi Nibhani
Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani

Ek Nadi Ki Rawani Hai Ye
Mauj Hai Aani Jani Hai Ye
Ek Nadi Ki Rawani Hai Ye
Mauj Hai Aani Jani Hai Ye
Koi Dube Koi Tair Le
Ek Dariya Toofani Hai Ye
Nahi Patwar Nahi Kinara
Par Kashti Ye Kaise Lagani
Phir Bhi Har Hal Mein Muskurake
Duniya Dari Padegi Nibhani
Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani

Chand Lamho Ka Ye Khel Hai
Aag Pani Ka Ye Mel Hai
Chand Lamho Ka Ye Khel Hai
Aag Pani Ka Ye Mel Hai
Umar Bhar Ke Liye Ye Jaha
Khusburat Ek Jail Hai
Jan Kar Bhi Hai Anjan Sare
Aur Kya Hogi Bolo Nadani
Phir Bhi Har Hal Mein Muskurake
Duniua Dari Padegi Nibhani
Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani

Pyar Ke Bina Gujara Nahi
Aur Koi Sahara Nahi
Pyar Ke Bina Gujara Nahi
Aur Koi Sahara Nahi
Hum To Mehman Hai Is Jaha Ke
Ye Hamara Tuhmara Nahi Hai
Kaisa Shikwa Hai Kaisi Shikayat
Kyu Hakikat Se Aankhe Churani
Phir Bhi Har Hal Mein Muskurake
Duniua Dari Padegi Nibhani
Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani

Char Nagme Ho Ek Saj Ho
Ek Mithi Si Aawaz Ho
Char Nagme Ho Ek Saj Ho
Ek Mithi Si Aawaz Ho
Is Safar Ke Liye Hai Bahut
Ek Meharba Ho Humraj Ho
Phir To Jannat Se Badhkar Hai Duniya
Aur Khushio Bhari Jindgani
Phir Bhi Har Hal Mein Muskurke
Duniya Dari Padegi Nibhani
Naav Kagaz Ki Gehra Hai Paani.