laagi meri ankhiyo se jab se
chupke se sajan teri do ankhiya
laagi lagan teri laagi
sakal rain jaagi sajan meri do ankhiya
aaina hasin hua hai ishqe ehsaas me
tere hone ki aas mein
khwahisho ko pankh lage hai
milne ki chaah mein
sau deeye jale hai raah mein
dil mein hai betabiya
hontho pe khamoshiya
kaisi ye uljhan si hai
karna hai mushkil bayan
raasta idhar bhi hain
aur raasta udhar bhi hai
dono taraf hai laazmi
kabhi dil idhar bulaye
aur kabhi udhar bulaye
hai kashmkash mein zindagi
dil mein hai betabiya
hontho pe khamoshiya
kaisi ye uljhan si hai
karna hai mushkil bayan
laagi meri ankhiyo se jab se
chupke se sajan teri do ankhiya
laagi lagan teri laagi
sakal rain jaagi sajan meri do ankhiya
jaane bekhudi ye meri
mujhko hai kahan le chali
jaane kaun si hai ye gali
apna sa lage hai kabhi
aur lage begana kabhi
maanu baat sach hai kaun si
aaina hasin hua hai ishqe ehsaas me
tere hone ki aas mein
raat bite na ye kabhi
khwab tute na ye kabhi
jaagu nind se na main kabhi
agar chhupa hai dil me koi
samjhu jisko dil ki lagi
wo nikal na jaye dillagi
aaina hasin hua hai ishqe ehsaas me
tere hone ki aas mein
khwahisho ko pankh lage hai
milne ki chaah mein
sau deeye jale hai raah mein
dil mein hai betabiya
hontho pe khamoshiya
kaisi ye uljhan si hai
karna hai mushkil bayan
kabhi dil idhar bulaye
aur kabhi udhar bulaye
hai kashmkash mein zindagi
laagi meri ankhiyo se jab se
chupke se sajan teri do ankhiya
laagi lagan teri laagi
sakal rain jaagi sajan meri do ankhiya
laagi meri ankhiyo se jab se
chupke se sajan teri do ankhiya
laagi lagan teri laagi
sakal rain jaagi sajan meri do ankhiya