tere hatho me, apni zindagi ka saaz dete hai
chale aao bhari mehfil se, hum aawaz dete hai
raat bhar humko na uthne diya, maykhane se
kabhi aankho se pilaai, kabhi paymane se
kabhi aankho se pilaai, kabhi paymane se
haye kya rang hai, kya mastiya ranayi hai
aaj jannat, meri aankho me utar aayi hai
jab kiya hai kabhi, jannat ka tasavvur humne
jab kiya hai kabhi, jannat ka tasavvur humne
teri tasvir ubhar aayi hai paymane se
teri tasvir ubhar aayi hai paymane se
kabhi aankho se pilaai, kabhi paymane se
na bhari bazm se darte ho, na ghabrate ho
kaise nadan ho, juda man se lipat jate ho
bekhudi me, kisi daman se lipatne ka maja
bekhudi me, kisi daman se lipatne ka maja
jake puchho, kisi bahke hue diwane se
jake puchho, kisi bahke hue diwane se
kabhi aankho se pilaai, kabhi paymane se
jaam may hi to, jaruri nahi jeene ke liye
kisne majbur kiya hai tumhe, peene ke liye
tauba karne hi chale the, ke rukhe roshan par
tauba karne hi chale the, ke rukhe roshan par
chha gayi kaali ghata, julf bikhar jane se
chha gayi kaali ghata, julf bikhar jane se
kabhi aankho se pilaai, kabhi paymane se
tumne jab bhi, rukhe maasum pe dali najre
humne sharma ke, sare bazm jhuka li najre
teri jhukti hui najro ka, ishara to kar
teri jhukti hui najro ka, ishara pakar
humne takra diya paymane ko, paymane se
humne takra diya paymane ko, paymane se
kabhi aankho se pilaai, kabhi paymane se