Raat aati hai to har dard chamak uthata hai
Aaj ki raat bhi aankho me gujar jayegi
Aasma chup hai fija chup hai
Sitare chup hai dil dhadakne
Ke siva koi bhi aawaz nahi
Koi dastak hai na aahat hai
Na kadmo ki sada
Raat ke hath me is wqat koi saz nahi
Koi saz nahi
Aaj ki raat bhi aankho me gujar jayegi
Dard aur dard bhi dasti huyi tanhai ka
Aisa lagta hai ke jina bhi saza ho jaise
Kitni bojhal hai fija sans ghuti jati hai
Ek pathar hai ke sine pe dhara ho jaise
Aaj ki raat bhi aankho me gujar jayegi
Raat aati hai to har dard chamak uthata hai
Kabhi lagta hai isi hal me jina hoga
Aur kuch dil mere jine ka yahi taur sahi
Kabhi kahta hai ye khamosh andhera mujhse
Ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi
Ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi
Ek gunah aur sahi aur sahi aur sahi.