Jise samjhe the hum afsana kal tak
Jise samjhe the hum afsana kal tak
Wo afsana haqiqat to nahi hai
Wo afsana haqiqat to nahi hai
Jo humse door bhi hai pas bhi hai
Jo humse door bhi hai pas bhi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Jinhe hum chhod aaye zindagi mein
Jinhe hum chhod aaye zindagi mein
Vahi shamil hai har gham mein khushi mein
Jo apna huya nazar deewangi mein
Jo apna huya nazar deewangi mein
Udhar bhi to aisi halat to nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Har ek manzar se ek chehara banana
Har ek manzar se ek chehara banana
Yuhi kagaz pe kuchh likhna mitana
Kisi ko yaad kar kar ke bhulana
Kisi ko yaad kar kar ke bhulana
Akelepan ki aadat to nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Sadaye suni suni si hai aise
Sadaye suni suni si hai aise
Kahi kuchh kho gaya ho apna jaise
Hum apne aapko bahlaye kaise
Hum apne aapko bahlaye kaise
Ye bechaini to rahat nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Ye duniya yu to kehne ko wahi hai
Ye duniya yu to kehne ko wahi hai
Magar lagta hai ab kuchh ajnabi hai
Na jane kon si isme kami hai
Na jane kon si isme kami hai
Hume unki zaroorat to nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Jise samjhe the hum afsana kal tak
Wo afsana hakikat to nahi hai
Jo humse door bhi hai pas bhi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai
Kahi unse mohabbat to nahi hai.