Welcome Entertainment Lover’s

Lo Ji Hum Aa Gaye Lyrics | Ek Vivaah Aisa Bhi

                        
                        aankho me pyaas, dil me mohabbat
mohabbat liye hue
aankho me pyaas, dil me mohabbat
mohabbat liye hue
mehbub ke didar ki hasrat liye hue
lo ji hum aa gaye hai
lo ji hum aa gaye hai
lo ji hum aa gaye, aa gaye, aa gaye hai

aate hai der se magar aate jarur hai
aate hai der se magar aate jarur hai
aur aake ye ehsan jatate jarur hai
lo ji hum aa gaye hai
lo ji hum aa gaye hai
haa ji hum aa gaye, aa gaye, aa gaye hai

aaj to rasm thi sagayi ki, sagayi ki
aaj bhi waqt par nahi aaye, nahi aaye
ho o o darr hai shadi ke roj phir na
shubh mahurat kahi na tal jaye
shubh mahurat kahi na tal jaye
ho o o ye premi bhi hai pandit bhi
jo kehade wahi ho jata hai
ho o o ye premi bhi hai pandit bhi
jo kehade wahi ho jata hai
jis waqt pe hum aa jate hai
wo waqt sahi ho jata hai
hum aa gaye hai, lo ji hum aa gaye
lo ji hum aa gaye, aa gaye, aa gaye hai

aa gaye hai aa gaye hai
shadi pakki karane aa gaye hai
aa gaye hai aa gaye hai
apni kachi karane aa gaye hai
aa gaye hai aa gaye hai
shadi pakki karane aa gaye hai
hame nazar aati hai tumhari tange saras jaisi
magar kisike dil me hamari kadr hai paras jaisi
wari jaawa haay mai wari jaawa
hame tumhari nak nazar aati hai tote wali
naak hai tote wali
hamne tumko maaf kiya wo nakhare wali sali
wari jaawa haay mai wari jaawa
harkate bandar jaisi, shakal langur jaisi
inhe hum kaise de de dulhaniya hur jaisi
chidiya ghar ke log tumhara dil behlane aa gaye hai
aa gaye hai aa gaye hai
apni kachi karane aa gaye hai
aa gaye hai aa gaye hai
apni kachi karane aa gaye hai

ho sangdilo, ho tangdilo aashiq pe na
itana julm karo
raasta chhod do, andar aane do
aane ki baat toh jaane do jaane do
saja kyun dete ho, saja ke kaabil ho
hamaara jurm hai kya, kisike kaatil ho
darwaaja hai band woh khidaki toh khole
khidaki toh khole
jiske liye aaye wo bhi to kuchh bole
woh bhi kuchh bole
haan khidaki to khole, na ji na ji na
yeh khidaki nahi khulegi, to gujjiya yahin bichhegi
yeh khidaki nahi khulegi, toh dhuni yahin ramegi
yeh khidaki nahi nahi khulegi
samadhi yahi lagegi, yahi lagegi, yahi lagegi ho

khidaki khuli toh khul gayi takdir hamaari
yeh kehate huye aage badhe prem pujaari
lo ji hum lo ji hum jhat se aa gaye hai
hak se aa gaye hai
lo ji hum aa gaye, aa gaye, aa gaye hai.