tujhe waqt kahe ye duniya wale
ik pal bhi kahin par bhi na rukne wale
pyar se rakhna jatan se rakhna har pal use sambhale
ab meri amanat tere hawale
mujhmne zinda hai wo usme zinda hu main
meri duniya hai wo uski duniya hu main
uske jaisa kahi dusra hai kaha naaz rangat pe uski kare gulista
uske charo taraf khushbuo ka jaha uske charo taraf khushbuo ka jaha
uski khushbu liye taza taza hu main
mujhmne zinda hai wo usme zinda hu main
rup itna hai lekin sanvara nahi shauk se aaina bhi nihara nahi
usko tarif sunna gavara nahi usko tarif sunna gavara nahi
uski tarif me phir bhi gata hu main
mujhmne zinda hai wo usme zinda hu main.