aaja aa bhi ja, aaja aa bhi ja
le aayi raat apne saath aisi baat haay
hogi ha hogi tujhse aaj mulaakaat haay
le aayi raat apne saath aisi baat haay
hogi ha hogi tujhse aaj mulaakaat haay
leharaake aanchal apna aayegi tu dur se
hoga ujaala tere chehre ke hi noor se
aaja meri jaan-e-jaan, deewaana tera hai yahaan
to aaja pyaara hai sama, deewaana tera hai yahaan
sharmaana chhod bhi do aa jaao paas mein
puri kar do ab mere dil ki saari khwaaishein
kya bheege honth tere, honthon se chum loon
pyaasa hai dil ye mera, tu hi bata main kya karu
ya na karu main koshishe ye baar baar haay
banda to karta hai hujur se hi pyaar haay
gar jo khata ho jaaye mera kya kasur hai
dilkash adaaye teri karti majbur hai
aaja meri jaan-e-jaan, deewaana tera hai yahaan
to aaja pyaara hai sama, deewaana tera hai yahaan
ho najrana pyaar ka ye, isko kubul kar
baahon mein aaja saari duniya ko tu bhulkar
ye hona hai aur hoga, hoga jurur ye
tu bhi chaahegi mujhko, kyun itna gurur hai
husn-e-sarafa hai tu maani maine baat ye
tujhsa hasi na koyi saari kaaynaat mein
hum bhi kisi se kam nahi haan tu ye jaan le
to aa ja jaan-e-jaana main hoon tere saamne
aaja meri jaan-e-jaan, deewaana tera hai yahaan
to aaja pyaara hai sama, deewaana tera hai yahaan.