Ishq Mein Hum Toh Lyrics | Farishta Ya Qatil

                        
                        Ishq me hum to, ishq me hum to
Jaan se guzar jayenge
Ishq me hum to
Jaan se guzar jayenge
Maut aani hai, maut aani hai
Aayengi mar jayenge, mar jayenge
Kahna aasan hai o kahna aasan hai
Lekin na ker payenge, ha ji ker payege
Maut aaye najar to mukar jayenge
Mukar jayenge

Sirf kahte nahi hum ye ker jayenge
Sirf kahte nahi hum ye ker jayenge
Waqt aaya to mar ke bhi dikhlayenge
Waqt aaya to mar ke bhi dikhlayenge
Dikhlayenge, dikhlayenge
Ishq me hum to, ishq me hum to
Jaan se guzar jayenge
Ha guzar jayenge
Maut aani aayengi
Mar jayenge, mar jayenge

Pyar ki raah se modd lo ye kadam
Pyar ki raah se modd lo ye kadam
Jaan ker jaan dene se kya fayada
Pyar ki raah me lut ke dekhe koi
Pyar ki raah me lut ke dekhe koi
Jaan ker jaan dene me kya hai maja
Jaan ker jaan dene me kya hai maja
Kya hai maja
Kisi pe mar ke dekho
Aanhe bar ke dekho
Mohabbat kya hoti hai
Mohabbaat ker ke dekho
Wafa pe marne wale
Nahi hum darne wale
Qayamat ker jate hai
Mohabbat kerne wale
Aah wafa pe marne wale
Marte aaye marte jayenge
Khwab sare ye ha khwab sare ye
Ek din bikhar jayenge
Maut aaye to najar mukar jayenge
Mukar jayenge
Maut aani hai, maut aani hai
Aayengi mar jayenge, mar jayenge

Teri najaro ka ye jaam jisne piya
Teri najaro ka ye jaam jisne piya
Umar bhar hosh me fir na vo aayega
Ek nasha ek janun ek dhokha hai ye
Ek nasha ek janun ek dhokha hai ye
Ye nasha char din me utar jayega
Ye nasha char din me utar jayega
Utar jayega
Bada rangeen nasha hai
Jo dil ko tumne diya hai
Ye aag laga ke dil me bada ehsan kiya hai
Mohabbat ki barbadi, to hai dil abadi
Hume lutne ka dar kya
Humne to jaan luta di
Thadap ker marna hoga
Jeete ji to mil na payenge
Mar gaye hum to, mar gaye hum to
Mar ke tar jayenge
Maut aaye to najar mukar jayenge
Mukar jayenge
Maut aani hai, maut aani hai
Aayengi mar jayenge, mar jayenge

Ek khilona hu mai waqt ke hath ka
Ek khilona hu mai waqt ke hath ka
Jindagi ka meri ho chuka faisla
Is mohabbat me hai wo asar janeman
Is mohabbat me hai wo asar janeman
Jo badal de jamane ka her faisla
Jo badal de jamane ka her faisla
Her fasla
Jahaa ko tu kya jane
Are hum hai deewane
To fir bemuat maroge
Kare kya dil na mane
Hai mana muskil hai
Hai kyu mayush nigahe
Jamana rokega, agar hum milna chahe
Jawani deewani ko duniya wale
Kya samjhayege
Dil ko samjha re
Dil ko samjha re, ab hum kidar jayenge
Sath jina hai ab sath mar jayenge
Sath mar jayenge
Ishq me hum to, ishq me hum to
Jaan se gujar jayenge
Maut aani hai, maut aani hai
Aayengi mar jayenge, mar jayenge
Ishq me hum to, ishq me hum to
Jaan se guzar jayenge
Maut aani hai aayengi mar jayenge
Are bhi ab to man ja
Ishq me hum to, ishq me hum to
Jaan se guzar jayenge
Maut aani hai aayengi mar jayenge
Are bhi ab to man ja.