Welcome Entertainment Lover’s

Aag Pe Rakh Kar Haath Lyrics | Fauji

                        
                        gaon hume gardan se pyar
dil se pyara desh
iski aan aur shaan badhana
hai apna udeshy

aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath
kaumi aan ke liye
veer jawan ke liye
hindustaan ke liye
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath

jaan amanat hai unki jo
chand ke hai rakhwaale
chand ke hai rakhwaale
ma ki aan aur shaan ki
khaatir jaan lutaane waale
jaan lutaane waale
unse badhkar soch ke dekho
unse badhkar soch ke dekho
kiski hai kurbaani
jinhone hanskar gale me
apne maut ke fande daale
ha maut ke fande daale
bharat mata ki saanso me
basi hai unki yaad
bharat mata ki saanso me
basi hai unki yaad
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath
kaumi aan ke liye
veer jawan ke liye
hindustaan ke liye
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath

kisi kisi ko mila kaum pe
kurbaani se naam, kurbaani se naam
aur kisi ne goli khaai aur mara gumnaam
aur mara gumnaam
unke aage jhuke aatma, unke aage jhuke aatma
bahe aankh se aansu
jhuke tirange sath humare unko kare salam
unko kare salam
tirange ke rang me unki aan rahe aabaad
tirange ke rang me unki aan rahe aabaad
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath
kaumi aan ke liye
veer jawan ke liye
hindustaan ke liye
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath

janme the kal fir janmenge
guru ke paancho pyaare, guru ke paancho pyaare
gunj uthe hai shahido ke ab
gangajal me naare, gangajal me naare
himalay ke har jhoke se, himalay ke har jhoke se
aati hai awaaze
naye zamane ki kismat ke ubhre naye sitaare
ha ubhre naye sitaare
hum hai neta naye desh ke aajaadi ke baad
hum hai neta naye desh ke aajaadi ke baad
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath
kaumi aan ke liye
veer jawan ke liye
hindustaan ke liye
aag pe rakh kar hath
kar lo vada denge sath
ha vada denge sath
ho vada denge sath
ha vada denge sath.