Welcome Entertainment Lover’s

Ae Kisano Yeh Dharti Tumhari Lyrics | Ganwaar

                        
                        Aye kisano yeh dharti
Tumhari hai maa
Zindagi mein koi maa se
Pyara nahi
Meri aawaz sunlo
Mere saathiyo
Phir na kahena ke
Tumko pukara nahi
Aao mere saathiyo
Aao re saathi
Aao re bandhu

Woh kon hai jo maa ki tarah
Naaz uthae
Palko pe bithae
De de ke apna lahoo
Faslo ko ugae
Kheto ko hasaye
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Woh kon hai jo maa ki tarah
Naaz uthae
Palko pe bithae
De de ke apna lahoo
Faslo ko ugae
Kheto ko hasaye
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti

Itna bada sansaar kaho
Khaaye kahan se
Jeene ke yeh saaman
Bhala aaye kahan se
Insaan yeh moti ye heere
Ye zawahar paaye hai
Mehnat se magar
Aaye kahan se
Woh kon hai jo khush
Ho ke dhan apna lootaye
Kuch bhi na chhupaye
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Woh kon hai jo maa ki tarah
Naaz uthae
Palko pe bithae
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti

Garmi ho ya sardi
Kabhi hoti nahi bekal
Chuup chap saha karti hai
Barsaat ka jal thal
Khud mit ke ise aata hai
Auro ko banana
Kuch bhi na kahe chhati
Pe din raat chale hal
Bhooka to utahye
Kabhi bhooka na sulaye
Paapo se bachaye
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Woh kon hai jo maa ki tarah
Naaz uthae
Palko pe bithae
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti

Dharti ki isi dhool mein
Hai jeevan sabhi ka
Deti hai ye paigam
Zamane ko khusi ka
Chandan ko jo sarmaye
Yeh hi to hai wo maati
Is maati se maathe pe
Lagate chalo teeka
Wo kao hai aakash jo chumne aaye
Seene se lagaye
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Woh kon hai jo maa ki tarah
Naaz uthae
Palko pe bithae
De de ke apna lahoo
Faslo ko ugae
Kheto ko hasaye
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti
Yeh hi dharti.