dekhta chala gayaa main zindagi ki raah mein
har koyi kadam kadam pe mast hai gunaahon mein
tu bhi ek gunaah kar ae dil kisi ki chaah kar
dekhta chala gayaa main zindagi ki raah mein
koyi kahegaa kya koyi sunegaa kya
kisi ke bhi kahe sune se teraa waasta hai kya
khayaal zulfe yaar kar ye lo khayaal zulfe yaar kar
nazar ko bekaraar kar nahin hoti
idhar udhar pade kadam tu kar na gam
na soch zindagi mein teraa rasta hai kya
haan dekhta chala gayaa main zindagi ki raah mein
ye chaand ki haseen shamma aaj tere haath hai
kya baat hai badaa haseen saath hai haseen hoon main
jawaan hai tu magar bataa kahaan hai tu jahaan hoon main
wahaan to zindagi nashe mein choor hai
saroor hi saroor hai teri nazar ka noor hai zara kareeb aa mere
are apna bhi majboor hai aur tu bahot hi door hai
dekhta chala gayaa main zindagi ki raah mein
har koyi qadam qadam pe mast hai gunaahon mein
tu bhi ek gunaah kar zindagi tabaah kar
dekhta chala gayaa main zindagi ki raah mein
suraahi jhoomne lage pyaali muskuraa pade
suraahi jhoomne lage pyaali muskuraa pade
pahunch gayee hoon aasmaan pe kis
tareh khade khade chal jhoothi
yeh khwaab ya khayaal hai nahin nai
ye jaam ka kamaal hai ye jaam ka kamaal hai
ye cheez bemisaal hai bahot achche
dekhta chala gayaa main zindagi ki raah mein
har koyi qadam qadam pe mast hai gunaahon mein
tu bhi ek gunaah kar ae dil kisi ki chaah kar
dekhta chala gayaa main zindagi ki raah mein
la lalalla la la la lalla la la lalalla la la la lalla lala