na hanso ham pe jamane ke hain thukaraye huye
dar-b-dar phirate hain takdir ke bahakaye huye

kya bataye tumhe kal ham bhi chaman vale the

yeh na puchho ki hai virane me kyon aaye huye
na hanso ham pe jamane ke hain thukaraye huye
bat kal ki hai ki phulo ko masal dete the

aaj kaanto ko bhi sine se hain lipataye huye
na hanso ham pe jamane ke hain thukaraye huye
aisi gardish me na dale kabhi kismat tum ko

aap ke samane jis hal me hain aaye huye
na hanso ham pe jamane ke hain thukaraye huye
ek din phir wahi pahali si bahare hongi
ek din phir wahi pahali si bahare hongi
iss ummid pe ham dil ko hain bahalaye huye